Sar jhukaoge to patthar devta ho jayega

सर झुकाओगे तो पत्थर देवता हो जाएगा
इतना मत चाहो उसे, वो बेवफ़ा हो जाएगा

हम भी दरिया हैं, हमें अपना हुनर मालूम है
जिस तरफ भी चल पड़ेंगे, रास्ता हो जाएगा

कितनी सच्चाई से मुझसे, ज़िन्दगी ने कह दिया
तू नहीं मेरा तो कोई दूसरा हो जाएगा

मैं खुदा का नाम लेकर, पी रहा हूं दोस्तों
ज़हर भी इसमें अगर होगा, दवा हो जाएगा
सब उसी के हैं, हवा, ख़ुशबू, ज़मीन-ओ-आसमां
मैं जहां भी जाऊंगा, उसको पता हो जाएगा
बशीर बद्र

 

Sar jhukaoge to patthar devta ho jayega
Itna mat chaaho use wo bewafa ho jayega

Ham bhi dariya hain hamein apna hunar maloom hai
Jis taraf bhi chal padenge raasta ho jayega

Kitni sacchai se mujh se zindagi ne kah diya
Tu nahin mera to koi doosra ho jayega

Main khuda ka naam lekar pee raha hun dosto
Zahr bhi is mein agar hoga dawa ho jayega

Sab usi key hain hawa, khushboo, zameen-o-aasman
Main jahaan bhi jaunga usko pata ho jayega

 

Bashir Badr

Yun Hee Besabab Na Phira Karo

यूं ही बेसबब न फिरा करो, कोई शाम घर भी रहा करो
वो ग़ज़ल की सच्ची किताब है, उसे चुपके-चुपके पढ़ा करो
कोई हाथ भी न मिलाएगा, जो गले मिलोगे तपाक से
ये नए मिज़ाज का शहर है, ज़रा फ़ासले से मिला करो
अभी राह में कई मोड़ हैं, कोई आएगा, कोई जाएगा
तुम्हें जिसने दिल से भुला दिया, उसे भूलने की दुआ करो
मुझे इश्तिहार-सी लगती हैं, ये मोहब्बतों की कहानियां
जो कहा नहीं, वो सुना करो, जो सुना नहीं, वो कहा करो
ये ख़िज़ां की ज़र्द-सी शाल में, जो उदास पेड़ के पास है

ये तुम्हारे घर की बहार है, इसे आंसुओं से हरा करो

बशीर बद्र 

——————————————————————————————
Yun Hee Besabab Na Phira Karo, Koi Shaam Ghar Bhi Raha Karo
Wo Ghazal Ki Sachchi Kitaab Hai, Use Chupke Chupke Padha Karo
Koi Haath Bhi Na Milaayega Jo Gale Miloge Tapaak Se
Ye Naye Mizaaj Ka Shehar Hai Zara Faasle Se Mila Karo
Abhi Raah Mein Kayee Mod Hain, Koi Aayega Koi Jaayega
Tumehin Jis Ne Dil Se Bhula Diya, Use Bhoolne Ki Dua Karo
Mujhe Ishtihaar Si Lagti Hain Ye Mohabbaton Ki Kahaaniyan
Jo Kaha Nahin Wo Suna Karo, Jo Suna Nahin Wo Kaha Karo
Kabhi Husn-e-Pardanashin Bhi Ho Zara Aashikaana Libaas Mein
Jo Main Ban Sanwar Ke Kahin Chaloon, Mere Saath Tum Bhi Chala Karo
Ye Khizaa Ki Zard Si Shaal Mein, Jo Udaas Ped Ke Paas Hai

Ye Tumhare Ghar Ki Bahaar Hai, Ise Aansuon Se Hara Karo

Bashir Badr