Kabhi to aasman se chand utre

कभी तो आसमाँ से चांद उतरे जाम हो जाये
तुम्हारे नाम की इक ख़ूबसूरत शाम हो जाये

हमारा दिल सवेरे का सुनहरा जाम हो जाये
चराग़ों की तरह आँखें जलें जब शाम हो जाये

अजब हालात थे यूँ दिल का सौदा हो गया आख़िर
मोहब्बत की हवेली जिस तरह नीलाम हो जाये

समंदर के सफ़र में इस तरह आवाज़ दो हमको
हवाएँ तेज़ हों और कश्तियों में शाम हो जाये

मैं ख़ुद भी एहतियातन उस गली से कम गुज़रता हूँ
कोई मासूम क्यों मेरे लिये बदनाम हो जाये

मुझे मालूम है उस का ठिकाना फिर कहाँ होगा
परिंदा आसमाँ छूने में जब नाकाम हो जाये

उजाले अपनी यादों के हमारे साथ रहने दो
न जाने किस गली में ज़िन्दगी की शाम हो जाये

बशीर बद्र

—————————————————————————————————————–

Kabhi to aasman se chand utre jaam ho jaaye
Tumhare naam ki ik khoobsurat shaam ho jaaye

Hamara dil savere ka sunhara jaam ho jaaye
Chargon kee tarah aankhein jale jab shaam ho jaaye

Ajab haalat the yun dil ka sauda ho gaya aakhir
Mohabbat ke haveli jis tarh neelam ho jaaye

Samandar ke safar mein iss tarah aawaz do humko
Hawayein tez ho aur kashtiyon mein shaam ho jaaye

Main khud bhee aihtiyaatan us gali se kam guzarata hun
Koi masoom kyun mere liye badnaam ho jaaye

Mujhe maloom ai us ka thikaana phir kahan hoga
Parinda aasmaan chunne mein jab naakam ho jaaye

Ujaale apni yaadon ke hamare saath rahne do
Na jaane kis gali mein zindagi kee shaam ho jaaye

Bashir Badr

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *