Parakhna mat

परखना मत, परखने में कोई अपना नहीं रहता
किसी भी आईने में देर तक चेहरा नहीं रहता

बडे लोगों से मिलने में हमेशा फ़ासला रखना
जहां दरिया समन्दर में मिले, दरिया नहीं रहता

हजारों शेर मेरे सो गये कागज की कब्रों में
अजब मां हूं कोई बच्चा मेरा ज़िन्दा नहीं रहता

तुम्हारा शहर तो बिल्कुल नये अन्दाज वाला है
हमारे शहर में भी अब कोई हमसा नहीं रहता

मोहब्बत एक खुशबू है, हमेशा साथ रहती है
कोई इन्सान तन्हाई में भी कभी तन्हा नहीं रहता

कोई बादल हरे मौसम का फ़िर ऐलान करता है
ख़िज़ा के बाग में जब एक भी पत्ता नहीं रहता

बशीर बद्र

—————————————————————————————————————-

Parakhna mat parakhne mein koi apna nahin rahta
Kisi bhi aine mein der tak chehra nahin rahta

Bade logon se milne mein hamesha faslaa rakhna
Jahan dariya samandar me mile dariya nahin rahta

Hazaaron sher mere so gaye kaghaz ki qabron mein
Ajab maan hun koi bachcha mera zinda nahin rahta

Tumhara shehr to bilkul naye andaz wala hai
Hamare shehr mein bhi koi hamsa nahin rahta

Mohabbat ek khushboo hai hamesha saath chalti hai
Koi insaan tanhai mein bhi tanha nahin rahta

Koi badal hare mausam ka phie elaan karta hai
Khiza ke baag me jab ek bhi patta nahi rahta

Bashir Badr

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *